Aaj hasti aakhon ko maine rulaya hai...Khilkhilata hue chehra ko murjhaya hai....
Aaj maine kisi khaas ka dil dukhaya hai...
Dost kahun unhe..Kahun guru...ya kahun bhagwan...
unke hain mujhpe mujhse b jyada ehsan...
na jaane mujhse esa anjane mai b kese ho paya hai...
Aaj maine kisi khaas ka dil dukhaya hai...
Mujhse mere hi liye ladte hai...
Mai jab jab ladkkhadayi hamesa khade rahate hai..
Mujhe aaj khud se nazar milane mai b saram aya hai...
Aaj maine kisi khaas ka dil dukhaya hai...
Mujhe maaf kar do...ye keh b nai sakti...
Par itna bada bojh apne andar dabaye reh b nai sakti...
Aaj ye kesa kashmakash mai dil ghabraya hai...
Aaj maine kisi khaas ka dil dukhaya hai...
Haan hui hai galti mujhse...
dard diya maine aapko kasam se..
ese khayal se dil bhar aya hai..
Aaj maine kisi khaas ka dil dukhaya hai...
©a.garg
A