A

arzoo

kuch arzuon ko seene me daba rakha hai
apne dil me maine toofan bitha rakha hai
log kehte hain ki aese wo mar jaayega jaldi
wo hai ki jeene ka armaan saja rakha hai
uski khusboo uski nazakat ka deewana hai
saari duniya ki nazaron se bacha rakha hai
bahut dekhe husn ke deewane is duniya me
wo to apne isque ki ek duniya bana rakha hai
khuda isque hai uska har saans uske naam hai
apni muhabbat me rab ka noor chipa rakha hai
©selfmade