Insaniyat sharmsar hai ek beti aaj fir laachar hai, kuch darindo ki hawas ki bhukh ka wo Bani shikar hai,
Un darindo pe dhikkar hai jinhone kiya shikar hai,
Apni santushti ke liye jinhone kiya balatkar hai !.
Darindagi ki hadon ko aaj unhone kiya jo paar hai, ghayal kar jishm us beti ko kiya bimar hai,na jane kyu yon shoshan ko samjha apna adhikar hai,dushkarm ka is desh me na yah pehla samachar hai!
Dekh isthiti pariwar ke uski meri ankhe ashrudhara hai,darindagi ka yah najara mann me lata bas ek hi vichar hai, kyu ho raha raha desh ki betiyo par ye atyachar baar baar hai, kya prashasan ko isse bhi bure waqt ke aane ka intezar hai!.
Yah ek beti nahi balki pure mahila samaj ka balatkar hai, desh me mahila ki surakcha par chaya andhkar hai, ab prasasan ka is mudde par chup rehna bekar hai, desh ke liye is dushkarm ka ant mahtwpurn vichar hai!
©amarjeet
A