Bapu me hu teri bitiya,
Is shor me dhunde tumhe
meri do ankhiyaan..
Bapu me hu teri bitiyaa..
Abhi hu choti sj or thodi khoti si ,
par ab nahi karungi na saitaniyan ....
yu na jao krke manmaniyaan.
Mehnat bhi karungi ,
achche se padungi ,
laut aao na bapu yu na rulao.
Maa ki ankhe ro ro k thak gai,
didi ki ladai bhi mujhse pyar me badal gai,
bhaiya ki raah badal gai ..,
teri parchai jo humse hat gai.
pala tha tumne nazo se
or ye duniyaan bani h kato se
duniya badli samay badla..
tum na aaye kabhi
yado ko humne kbhi jane na Diya .
sachcha h jivan pr acha nahi
sab ke sir pr hai saya
khud ko humesha akela paya.
mujhe khena hai tumko PAPA
or sunna hai BETA badle me
ajao na bapu
kyu chale gai bich raste me...
©sonta
S