Ghar mein paida hui ek beti
Gharwalon ne shok manai
Ek saal beeta dusra saal aaya
Fir se goonji ghar ki deewarein
Iss baar ek beta aaya
Gharwalon ne jashn manaya
Khoob mithaiyan aur siwaiyan bante har mohalle
Beti k saath karte bura vyavhaar
Bete ko palkon pe bithate pehnakr haar
Beti par kharch karne ko nahi ek aana
Bete pe udaya apna sara khazana
Din beetta gaya saal beetta gaya
Ek din Gharwalon ko bojh laga beti ka rehna
Nikaal diya ghar se kehkar ki tu beigana
Usne apni zindagi mein bohot kasht sahi
Ki ab Woh kise k neeche dabne ki ichchhuk nahi
Mehnat ki Usne bohot damdaar
Paar kar gayi Woh har deewar
Waqt k saath kadam milati gayi
Aur ek din Woh apne pairon pe khadi hui
Beta bana ameer ghar ka bigda hua aulad
Dheere dheere bojh lagne laga use apna pariwaar
Nikaal diya unhi maa - baap ko jisne jashn manaya uske paida hone par
Beti Woh har dard se waqif thi Jo ek maa sehti
Isliye maaf kiya Usne apne maa-baap ko
Kon kehta hain ki ladkiyan parayi dhan hain
Uspe aitbaar karke toh dekho
Badal degi har dastaan ko
©rigzin
R