K

ek din aor guzar gaya zindagi ka beshak ye khas nahi tha ek lamha bhi apne pass…

ek din aor guzar gaya zindagi ka
beshak ye khas nahi tha
ek lamha bhi apne pass nahi tha
wo ghair sahi per apne the
apne bhi kuch sapne the
baat guzar gayi raat guzar gayi
phir ek baat zubaan pe teher gayi
na mooraad dil khwahishen karne laga
zindagi se khush ankho mein sapne bunne laga
na jane kyu itni ummidein hai zindagi se
ummidon ko rakkha rishta todliya khushi se
musafir ko seher raas ane laga
wo har rahi ko apnane laga
dil laga betha anjaan desh se
na sehri raha na musafir raha
©kohinoor