M

Ek sahara mila Tha

Ek sahara mila tha ,
Jeevan mein age badhne ke liye
Aaj wo bhi chuta sa nazar araha hai
Jo banaya tha kabhi sapno ka mahal
Aj wo bhi tuta sa nazar araha hai
Jeevan ki nadi paar karne ka
Koi kinara nahi dikhai padta
Bas charo or samandar nazar araha hai
Ulajh gaya hai pakshiyo ka ashiyana
Har taraf bas banjar hi nazar araha hai
Zindagi to tere sath thi mere yar
Ab to maut hi hamsafar nazar araha hai
©myline