Jis yaad mein tha kabhi uljha hua,
hun aaj usey bhool chuka
Zindegi mein aayi kai karvatey,
par main aankh band kar ke chalta raha.
Samay ne li kai karwatey,
par main uske sath chalte raha.
Hua ek aisa haadsa
jiske wajah se main,
bhagta raha....
Samay ne patka ek aisi jagah,
jahan jeevan fir se mila
Mila ek mouka,
aapne doston ke sath firse khelne ka
Saayed reh Gaya tha koi kam aadhura,
Isliye samay ne mujhe yahan patka
Jeene laga hun wo baachpan,
jo saayed main,
Bhool chuka....
©parag0
P