I

FAQAT TANHAYI

Raah ki fikar naa karne wali,
naa humrahi ki fikar main karti hun!
Khamosh hun matlab ye nahi ke lafzo se gila main karti hun.
Kisi se nahi jane kyon ab khudse dara Karti hun,
Jane kyon ab khudse dara main karti hun!
Mehfilo ki aadi hun mehfil mein hi raha karti hun,
Par jane kaise, ab faqat tanhayi hi pasand karti hun.
Aankh meri,ashqe meri!
Par bahane se dara Karti,
Aur gar tanha hun to muskurane se bhi naa gila karti hoon.
Shayed ye wajah hai ke,
Ab faqat tanhayi hi pasand karti hun..
Dard, taqleef ye lafz suna hai maine,
Aur haan mehsos bhi kiya karti hun !
Ho sakta hai ke ye bhi ek wajah ho,
Ke ab faqat tanhayi hi pasand kiya karti hun.
Lafz mere khamosh,lafzo ko naa samjha kisi ne,
Iss baat se bhi gila main nahi kiya karti hun.
Naa fikr ab logo ki, fikr ab khudki bhi Kiya Karti hoon,
Bewajah kahun ya bawajah.
Ab faqat tanhayi hi pasand kiya karti hun....!!
©iram