M

gahrai

ganvo ki galiya jab yaad aaya karti h ..
unme khelte bachpan ki tasweere dikh jaya karti h .....
un pagdandi ki raho m lakdi ke pahiyo ki gadi ghuma karti h....
khelne ke. shokino ko gahri soch kaha dikhti h....
ab jab rukh hota h ganvo ka to un ganv ke gahre raaj se aankhe kuch is kadar roobroo hua karti h....
un galiyo se ab matka laade wo bachho sang nikla karti h....
thaki thaki un aankho se najre mila karti h...
ab tasweere bhi unki takleefo ke ahsaas baya karti h....
un galiyo m kaam karti wo aankhe jab sukoon ki talash karti h, tab wo aankhe un laal aakho ke samne jhuka karti h...
jinki samai par najre nahi jhuke to geeli hokar jhuka karti h .....
us shanti m kuch aankhe apne dard chipaya karti h.....
©myemotions