M

gahrai

ganvo ki galiya jab yaad aaya karti h ....
unme khelte bachpan ki tasweere dikh jaya karti h...
un pagdandi ki raho m lakdi ke pahiyo ki gadi ghuma karti h...
tab un khelne ke shokino ko gahri soch kaha dikhti h....
ab jab rukh hota h un ganvo ka to un ganv ke gahre raaj se aankhe kuch is kadar roobroo hua karti h.....
un galiyo se ab matke lade wo baccho sang nikla karti h ...
thaki thaki un aankho se najre mila karti h .....
ab tasweere bhi unki takleefo ke ahsaas baya karti h....
un galiyo m kaam karti aankhe jab sukoon ki talash karti h, tab wo aankhe un laal aankho ke samne jhuk jaya karti h....
jab samai par nahi jhukti unki najre to geeli hua karti h.....
un ganvo ki shanti m kuch aankhe dard chhipaya karti h.....
©myemotions