K

galti.....

kabhi kabhi insaan ki har galtiyo ko bhula diya jaata hai,
or kabhi kabhi insaan ki ek galti se ,insaan ko bhulaa diya jaata hai....
....
kabhi kabhi insaan hzaaro galtiya kar ke bhi kuch nhi sikhta hai,
or kabhi kabhi insaan ki ek galti use, hzaaro baate sikhaa jaati hai.....
....
kabhi kabhi koi insaan galtiya kar ke bhi sharmindagi mehasus nhi krta hai,
or kabhi kabhi insaan ki ek galti use, kisi se nazre milane laayak nhi rakhti hai....
komalsoni✍
©komalsoni