Mera Jo Haal hai haal hi rahne do
Ishq ka khayal hai to khayal hi rahne do
Wo Meri mohabbat hai or main badnaam zamane me
Use is bat ka malal hai to malal hi rahne do
Kabhi palat kar Aaye wo to lga lunga seene se
Agar che nayi chaal hai to chaal hi rahne do
Meri mohabbat ka Sila Kya Mila mujhko
Ye Jo sawal hai ise sawal hi rahne do
Laila majnu ki tarah ab ishq Kon karta hai
ye jo misaal hai ise misaal hi rahne do
©mdtauquir
M