Dard kagaz pr
mera bikta rha...
Mai bechain tha
raat bhar likhta rha...
chhu rhe the sab
bulandiya aasman ki....
mai sitaron ke beech
chand ki tarah chhupta rha...
akad hoti toh
kab ka toot gya hota...
mai tha najuk dali
Jo sab ke aage jhukta rha....
badle yaha logo ne
rang apne-apne dhang se...
rang mera bhi nikhra pr
mai mehndi ki tarah pista rha...
jinko jaldi thi
wo badh chale manzil ki or....
mai samandar se
raaz gehrai ke sikhta rha.....
©ashutosh
A