Jo chor bna baitha tha...
mann wo aj ek kotwal sa khada hai....
Khoya tha jo apni hi duniya me....
mano aj jaise khud se hi wo ladaa hai....
Hazaaro paheliyo me uljha jaise koi talaash baki hai....
Jawab ki aas me jaise abhi ek aakhiri saans baki hai....
Jo aj khayal aaya hai mnn me to aaya kyu hai??
Jo hai hi nhi haqeekat me to fir uska saaya kyu hai??
Umr guzari li poori to ek aakhiri waqt bhi uska jikr krti hu....
Kabhi khud ka dhyan rkhna na seekha prr ha uski fikr krti hu..
Kya usko bhi hogi parwah mere hone na hone ki....
Ruk jau ya krlu ab tyari ek lambi neend sone ki....
Galat to nahi hu n mai jo ab rukna nhi chahti....
Sach me ab uske aage bhi jhukna nhi chahti...
Mile to bta dena use ki intezaar kiya tha maine....
"Wo aaya kya" ye sawaal bhi kiya tha maine....
Uske liye ye aakhiri nishani chhor rhi hu..
Ab humesha k liye usse rishta tod rhi hu..
Shukriya apka prr abhi to din hai mere jawaani ke...
Sacchai nhi kuchh bhi, ye to shabd hai ik kahaani ke....
©ruchiraj
R