D

kahani humari

Teri baaton se mujhe bewafai ki khushbu si aati hai...
Tere pyar me zbrdsti ki milawat nazar aati hai...
Tu woh nahi hai ab jisne mujhe kabi chaha tha...
Apni unglio se mere baalon ko sawara tha..
Teri har dard ki dawa meri muskan hua krti thi..
Teri sukun ki wajah meri hi to awaz hua krti thi..
Na samay ki bandishe thi..Na wajah thi doori ki...
Tum aur main tb hum the....
Na jagah thi kisi mjburi ki....
Yhi tto hai kahani humari chhoti si adhuri si....
-by Shruti Kashyap
©dilkikalam