khud se main roz ladta tha
mujhme thi kamiyaan ye kehne se darta tha
apni kamiyon ko unse chipata tha
jinko main kabhi apna bataata tha
kha pataa tha vo hmesa na rhenge
unko hum hamesa apna na kahenge
waqt ne hmko ye smjhaya
kamiyaan kisme nhi ye dikhaya
purey to koi bhi na they
tukde sab ke he bikhre they
chot sab ko lagi thi ghaaw sab k ubhare they
kuch ne kamiyaan chipaane k liye
pehne they nakaab bhi
Jo vo hain nahi dikhaate they vo aaj bhi
kab tak aise jeete jaaye
hum aise he hain hum duniya ko ye ku na btaae
jinko ruthna hain vo roothe hmse
jinko ruthna hain vo roothe hmse
ku ki ....
khusiyaan to sab ko pasand hain
hme to unki talash hai jo saath rhe hmaare gum mein
©
©aniket2019
A