Ajab hai ye duniya bhi buzurgo se na sulajhne wali uljhan,
na- samjh se suljhane ko keh gayee....,
basa kafila apno ke sath Woh gairo ki ho gayee...!!
Bana ye katputliya logo ko rangmanch ki,
khel aatishmijazi se khel gayee,
Basa ye basti matlabfarosho ki ehsason ko chod gayee.
Naa taklifo ko samjha kisi ne,
naa dardon ko bataaya tha.....
ye hausla hi to tha aasman Ka ke banjar zameen ko bhi khilaya tha...!
Dubti kashti naa dekha tha kisi ne
Jo woh laut aaya tha,
mutmayin the log janne,
ko ke kya samundar ne khud hi sahil Ka pata bataya tha?
Ye ilm hi to tha alimo ka,
ke sawaalo ko mitaya tha....
Jo logo ko haqiqat se roobaro karwaya tha.
Aur woh raat bhar ki bechaini, neend ko udaya tha...
khawab kahan dekha tha humne haqiqat mein aawaz Aaya tha,
ek bezuban janwar ki dastan,
har shakhs ko rulaya tha!!!
Ye lagi aag aisi ki bujha naa saka Pani bhi,
tapish itni thi Suraj ki ke mitaa naa saka Sami bhi.....!!
Guzarte waqt ke sath, guzarta sab kuch Chala jaa raha tha,
badle ye zamane jo badalta rawaya chala jaa raha tha...
Fana ho gaya uss kafile ki tarah ye bhi kafila,
aur har baar ki tarah kitabi-dastan chupta Chala jaa raha tha....!
©iram
I