Baatein toh us insaan se ki jaati h
Jinse baat karne se pehele kuch sochna na pade
Us insaan se kya baat karu
Jahan maan ko darr laage...
Kuch baate yaadien de jaati h
Kuch waade de jaati hai
Kuch kubsurat lamhe de jaati h
Kuch aapne tak hi rah jaati h...
Accha dost yaa humraahi usse kaha jaaye
Joh humari amyat rakhe
Chahe hum bewakuffo wali baate kyu na kar jaaye...
Unse kya baat karu jinke saamne mein kuch bhi na huu.
Bachpane wali baato se hi haasi aati hai
Akal maand baate aksar takliff de jaati hai
Woh sabke saamne bada zarur banati hai
Par aakele mein hume humesha rulati h..
Masti mazak se hi zindagi hassen hoti h
Unn yaado ko yaad karke joh akkhe rode
Woh moti hai
Aaj kal jaise yeh sab ek chunoti hai
Kyuki insaaniyat kam sab swarti hai...
Uss insaan se kya baat karu
Jisse humari har baat buri lage
Baate toh tab banti hai
Jab sunte sunte koi na thake...
Ghamad na karye paiso ka
Na kariye koi bhi dikhawa
Na kare bado ka unaadar
Pair utnehi falane chaliye
Jitni ho hamri chaader
Koi kuch nahi le jaa sakta
Milna toh wahi hai joh ho naseeb ka...
Uss insaan se kya baat karu
Jisse humare hone yaa na hone se koi farak na pade
Jab unke paas koi na ho
Tab humari parshansaa baat tarif yaa pranam kare..
Written by
Hiral Nayna Jayant Ved
Dated: 14th July 2019...
©
©hiralved
H