R

Kya tujhe Pata hain.?

Kya tujhe yaad hain vo din
Jab tere milne se mera dil khush hota tha
Teri aankho ko dekhne se meri subah hoti thi
Hum sath main school jaya karte the
Jab ladke tujhpr comment karte the
Tere age main aa jaya karta tha
Kya tujhe yaad hain vo shaam jab
Tere sath baith ke main Dheer sari bate karta tha
Or tu bhi apane sare dar bhula ke
Mujhse kuch bhi kaha krti thi mano hum ek hi ho
Jab ghar jate the to tera palat ke dekhna
Or mera halke se hath se see you soon kehna
Kya tujhe yaad hain jb tu bimar hua krti thi
To rat rat bhar jag kar tere pas baitha karta tha
Teri sir or rakhi pattiyon ko sari rat badala karta tha
Tere sone ke bad hi main soya karta tha
Tere jagne se pahle tera intezar kiya karta tha
Kya tujhe yaad hain jab teri khushi ke liye
Aadhi rat ko uth ke teri fav ice cream laya karta tha
Or tera khilkhilahat se he meri sari thakan utar jati thi
Tujhe chain ki neend sota dekh tere pas aake baith jata tha
Or bs tujhe kuch dil bate keh jata tha
Or tu sone ka natak karke
meri sari bate sun kar mujhe gale laga leti thi
Kya tujhe yaad hain kis tarah
main tere sang bitaye hr lamhe ko samet kar rkhta tha
or teri di har chiz apane pas rkhta tha
Kya tujhe yaad hain teri avaz sunne ko jaise taras jata tha
Or tere se milne ko bhaga chala ata tha
Kya tujhe yaad hain?
©rhywrites