P

Maa

Maa sabd nhi ehsaash hai ek ,
Mamta ki murat ishwar ka awtaar hai ek ,
Isse ucha na kuch dekha na suna is jahaan me ,
khud roo kr bhi hme hsati hai aisa aashirwad hai ye ,
Ishwar bhi jinke aage bebash hain aisi faiyaad hai ye .
Maa hi hain jo kurbaan kr deti hain saari khushiyan apne dil ke tukadon pe ,
Maa ko bayaan kr sake aisa koi paida nhi hua aaj tak is duniya me ,
Tumsa nihswarth dekha nhi kisi ko yahan ,
Khud raaton ko jagti ho tum hmari sapnon ke darmiyaan .
©poetic_flo