M

"Maa ka pyaar"

Maa bhi Kamal Ki hoti hai
Chaata Markar bacche ko Na Jaane kyon Khud Hi Roti hai
Jab baccha Kabhi late Ho Jaye Tu apni Sudh khothi hai
Maa bhi Kamal Ki hoti hai
Lal ko Sula kar Khud uski fees ki tension mein nahi soti hai
Chahe Khud Kitni bhi ThaKi Ho bacche ko Chalna aane par bhi uske Bhojh ko dhoti hai Maa bhi Kamal Ki hoti hai
Chahe Sara Zamana Uske Bache Ki Burai Karta Ho
Chahe uska baccha Sare Zamane Mein ladta Ho
Per Maa ke liye tou uska baccha Moti hai Maa bhi Kamal Ki hoti hai
Maa Bhi Kamal Ki hoti hai
-Vinita
©gopalshyam