Tum mere saath khelti ho is khayal se ki mai tumhe aasani se na jaan jau!
Tum apne aansoo ko chupati ho is khayal se ki mai tumhe roota hua na dekh lu!
Mai jaanta hu, Mai tumhari hoshyaari jaanta hu,
Tum kabhi wo lafz nahi kahti jo kahna chahti ho is khayal se ki kahi aisa na ho ki mai tumhe haasil kar lu!
Tum mujhe hazaar tarah ke dhoke deti ho is khayal se ki mai tumhe bheed me gum na kar du or tum alag khadi ho jati ho!
Mai jaanta hu, Mai tumhari hoshyaari jaanta hu,
Tum kabhi us raaste par nahi chalti jis par chalna chahti ho is khayal se ki kahi mai tumhe bhatka na du!
Tum kabhi wo cheez nahi leti jo lena chahti ho!
Tumhara haq dusro se zyada hai, isiliye tum khamosh ho!
Mai jaanta hu, Mai tumhari hoshyaari jaanta hu.
©areeb
A