suli par chadkar darindon ne,
jab dam toda hoga,
to nyaya nirbhaya ko hi nahi,
un anginat pidito ko mila hoga.
us ma ne sapne me bhi
ye aabhas na kiya hoga,
ki unki misri ki dali ka
un darindon ne kya haal kiya hoga.
dard se karahti cheekhein,
badan par anginat jakham,
daaton ke nishan, aatma ko chirta dekh,
devtaon ka kya daityon ka bhi dil roya hoga.
kya haal hua hoga us ma ka,
palkon par bithayi hui lado,
ko paani ki boond ke liye
tarasta hua dekha hoga.
aashcharya nahi kaise bani ek aabla,
nari shakti ka pratibimb shakti swarupa,
sawa saat saal ki lambi ladai paschat
phansi ke din hi us ma ko chaiin aaya hoga.
lekhak to nahi ,ek ma zaroor ho maain
naman karti us matritva ki takat ka,
aasan hi sahi darindon ko dam todta dekh
sharmsar manavta aur us ma ko aitbaar nyayalay par ek baar phir aaya hoga.
©pujasingh
P