P

matritva ko naman

Suli par chadkar darindo ne
Jab dum toda hoga ,
Tab nyaay nirbhaya ko hi nahi
Un anekon pidito ko mila hoga.
Us ma ne sapne me bhi
Yeh aabhash na kiya hoga,
Ki unki misri ki dali ka,
Un darindon ne kya haal kiya hoga.
Dard se karahti cheekhein,
Badan par anginat jakhm,
Daaton ke nishan,aatma ko chirta dekh,
Devtaon ko hi nahi ,daityon ko bhi aasu aaya hoga.
Kya haal hua hoga us ma ka,
Palkon par bithayi hui lado
Ko paani ki ek bund ke liye
Taraste hue dekha hoga.
Aashcharya nahi kaise bani ek aabla,
Nari shakti ki prativimb shakti swarupa,
Sawa saat saal ki lambi ladai paschat,
Phansi ke din hi us ma ko chaiin aaya hoga.
Lekhak to nahi ,ek ma zaroor hoon main ,
Naman karti us matritva ki takat ka,
Aasan maut hi sahi un darindon ki,
Sharmsar manavta aur us ma ko nyayalay par aitbaar ek baar phir aaya hoga.
.......Puja singh............
# salute to a warrior mother#AshaDevi.....
©pujasingh