S

Meri Chahat, Khwab aur Safar....

Chahat ki duniya ne na jane kya kya Khwab dikhaya
Main andheron me tha chirag samajh kar chalta raha
Khwahishon ne na jane kaha kaha safar karaya
Kahin kamyabi mili to kahin padeshan firta raha
Pata nahi tha raaj kya hai, kahin bulandi to kahin sharmindagi dilaya
Par mera Deen har waqt deewar bankar takrata raha
Zamana ne na jane mujhe kahan kahan ghumaya
Sahar sahar Gaon gaon khwabon me ghumaya
Main qareeb se dekha duniya ko kasti pani me jaisa
Main samjhta tha kahin rukunga duniya dekhunga
Par safar me na zameen mili na koi teela mila
Aur main hamesha pani me hi ghumta raha"
©shahzad