Nari hu m abla nahi;
Mere bager koi bhi ghar sambhla nahi.
Mante h log mujhe kamzor;
Apharan rep balaatkaar har jagah yahi shor.
Nari h ghar tak simit hai ye soch;
16 december Or kai tareekho pr jangali log kha gae mujhe noch.
Kar di stithi esi meri;
Par soch ne me hui mujh se deri.
Lena h hak apna mangna nahi;
Ab mujhe hi karna h apne lie jo bhi ho sahi.
Apne bal pr jeena h jeevan apna;
Bachpan se tha mera yahi sapna.
Bade ho kar shadi krdi ;
Bado ka nirnaye tha nai thi meri marzi.
Padh- likh kar naam kamana or bhavishya banana tha;
Par bado ki marzi ko talna kaha bs me tha.
Puri zindagi rasoi Or dusaro ki seva m guzari mene;
Ab todni hogi sari janzire or chene.
Apni marzi se pehnugi me kapade;
Mujhe nai hogi parvha kisi ki bhi chahe koi bhi sade.
Padhna-likhna or naam kamana hoga mera kaam;
Ab ghar ke kaamo ko kahugi m ram-ram.
Khud kama kr lugi ghar me barabar ka hissa;
Baad m sabhi yaad karege meri bahaduri ka kissa.
Lakdi bojh bai hai bete de badhakar;
Sabit kiya tha santosh yadav ne pahar pr chadhkar.
Kai mahilaaon ne sabit kiya hai nari hona gunha nahi;
Baat yahi h sahi
Naari Hu Mai Abla Nahi.
©muskanpcha
M