A

Pagdandi se sadak tak

mere gaun se sadakon tak jane wali pagadandia
yoga vidya sikhane wali guru ki sahkarmiya
dhyan thoda bhang hua ki utara merh se pair
agar fasal kuchh kucha gaye na samajho jan ki khair
andhe lanre ki upadhi sath men milati galiyan
mere
rakhwale bhi kheton ke rahate sada the tatpar
edhar lakshya se pag hila ki ho lete the sar par
par dadi kahati thin nahi karata tha koi galtiyan
mere
patali si un rahon par tatan rahata tha logon ka
aane jane walon par nata rahata tha logon ka
thoda danye banye hokar par hoti thi kishtiyan
mere
chouri sadak par ghatanayen haphte mein hoti akadh
tuta hath kaka ke aur dadu ke kandh
sadak se kitani behatar hain gauon ki ye dandiya
mere
bade shahar ki sadaken apani gaun ki sadak se chauri
kahin jalebi ki dukane talate kahin kachouri
par durghatana roj kai hoti daiya re daiya
mere
choro sadak aur pagadandi ban gaye hain etihas
two len aur four len hain aaj hamare pas
par durghatanaon ki hui nit nai badhantiyan
mere
sochane lagi karan kya dhyan yoga na raha
sawdhani hati durghatana ghati aaj bas ye ho raha
nasha, josh , ghamand aur rob mein hoti hai ye galtiya
mere gaun se sadak tak jane wali
©archana19