Mili thi jab main tumhe,
zara bhi umeed na thi,
ki itna dard milega tumse,
ki main pathar ban kr reh jayungi.
Itna dard diya tumne,
kitne aansu bahaye maine,
sirf tumhari kushi ke liye,
hothon pe muskaan banaye rakhi maine.
Kitne saal guzar gye,
tumhe zara b taras nhi aaya,
har din tanhayi mein guzara,
tumhe zara bhi khyal mera na aaya.
Har din dard sehte sehte,
pathar ban kr reh gyi main,
aansuon ko dabate dabate dil mein,
ab pathar ban gyi huin main.
©richugarg
R