jab mayoos hote h to jaya karte h waha , jaha koi nahi shikwa na koi gila .......
hawa ka jhoka chalta h waha,fir pata chala jab mude hum waha ki wo apne sang humare aansuo ko bhi le chala ........
bhiter jalti hui aag ko gira kar barish ki boonde wo bujha deta h waha......
man ki uthal puthal shant ho jati h waha , sunta h madhoor sa geet waha ,jiska sandesh Panchi lekar aate h waha......
hawa ke jhoko se patte udte h waha , sukh kar bhi udne ka matlab pata chalta h waha .....
jab milte h unse jo rahte h waha , to lagta h kitna khushhal jivan h yaha.......
podho per fool saje h waha , jo muskura kar swagat karte h waha .......
kaate bhi rahte h waha par chubh kar bhi dard nahi dete waha......
pattaro se hoti h mulakate waha , kuch bade kuch chhote hote h waha.......
hume apna sa lagta h waha , fir sochte h hum bhi inke sathi h yaha........
lagta h koi jaadu sa h waha , jisse humare ghao per marhum sa laga .......
©myemotions
M