Main aashna thi Tum logon ka,
Tum logon ne shamshaan Bana diya.
Main swarg thi tum logon ka,
Tum logon ne pataal sa Bana diya.
Neela aasman tha jahan chidiya udti thi,
Pradushan se neela, neela na rehne diya.
Nadiyon mein behta Jal amrit sa tha,
Kude - kachron NE zeher Bana diya.
Pedon ke chhaon mein Ghar basata Har pakshi,
Tum logon ke swarth NE unko bhi beghar Bana diya.
Maine toh Har manushya ko Ek sa darja diya tha,
Parantu Tum logon ne he ameer - gareeb ka seema Bana diya.
Swyam ko Har sukh - samriddhi mile,
Isiliye tumne gareebon ko aur gareeb Bana diya.
Swyam ko sarvoch banane ke liye,
Tumne Mera vajood he mita diya.
©rigzin
R