Koi itna khush hoke bhi toota toota sa kyu hai puchha h kya.
Sari duniya uski mukhalafat kar rhi hai or wo khud se rutha rutha sa kyu hai puchha h kya.
Sabki baate sabke taane sunn ke khamosh kyu hai puchha hai kya.
Sabko hasanewala aaj khud se rootha rootha sa kyu hai kabhi socha h kya...????
2...Sabke dard ka jo tageer tha.
aaj apni khushi se marhoom kyu hai kabhi puchha h kya......
Ek benaam sa shaksh itna mashuur kyu hai puchha kya...
Mana aap badi saltnat ke vaaris ho..
Kisi ki Daulat ka mahal sachmuch uske zazbaat
Se uuncha hai kya
Sabko hasanewala aaj khud se rutha rutha sa kyu hai kabhi socha hai kya........
3...Ek arse se jisne khuda ki taraf mud ke dekha tak nhi...
Aaj muthhi me duaye liye dar dar ghum rha hai..
Kisi ki khushi ke liye wo aaj mukhalif ke kadam tak chum rha hai...
Jo tha kabhi andhere ka baar-aks aaj uska aashiq kyu hai kabhi usse puchha h kya....
Sabko hasanewala aaj khud se rutha kyu hai kabhi socha hai kya.?????
4....Jo nhi puchha apne to chlo mai btata hu...
Uske dil ka haal apni kalam🖊️🖊️ se sunata hu...
Wo tuta hai dard ke fitoor se..
Wo hara hai kisi Apne ke guroor se....
Jab hasta tha to ashik tha
Aaj rota hai to shayar hai..
Kisi ke abhimaan ne usse todd diya..
Ab khud ke liye wo kayar hai...
Jo kabhi mile kahi hasta hua to itna zaroor puchhna..
Ki aaj bhi akeli raato me chup chap bina awaz kiye wo rota h kya...
Sabko hasanewala aaj khud se rutha rutha kyu hai kabhi socha h kya.???
Kabhi socha hai kya?????
©Br.raj Gaurav
©rajgaurav
R