A

pyar ka aisaas

aj pata chala ki pyar karna or pyar ko nibhana dono alag bat hain
aj pata chala ki jazbato se khelna or usko samjhna dono alag bat hain
jisko siddat se chaha tha usne to mere hi pyar ka majak bana kar chali gai
aj bhi ek kasak hain zindagi me ki shahi panne par uska or mera name na likh saka, lagta hain upar wale ne wo panne ko, wo kitab ko hi banne se mana kar diya hain jo meri ankho me sapno ki tarah base the, wo sapna bass sapna hi reh gaya..
ab iss panne par to kisine kali siyahi se apna name likh diya uske sath, jiss panne kabhi mera name maine socha tha uske sath likhunga, par ye ho na saka, ye ho na saka.....
zindagi me ek khali pann sa agaya hain jo kabhi ek hasin Palo me guzarta tha wo aj ek viran mahal sa ho chala hain
kab iss viran mahal me chirag jalega ab to ummid bhi chut chuki hain,
aj bhi dill or dimag ki har rozz ladaiya hoti hain., dil bolta hain ki ek na ek din zaroor aeygi woo, par dimag hamesha bota hain ki wo chali gai hain abb to age bad ja mere yarr ab wo nahi aeygi wapis palat kar tere pass, par dill hemesha dimag se bolta yar wo aeygi zaroor aeygi..
wo ek din zaroor aeygi zaroor aeygi.........
©aisaas0212