S

Sach h ki dil to dukha h

Sach h ki dil to dukha h,
magar kisi ko mehsoos na hua h,
khwaabo ko bhi rusva kiya h,
magar khud ko samjha liya h.
Sach h ki ummiden tuti h,
vishwas ki bhi dor chhuti h,
ye takdeer na jane kyu roothi h,
har taraf sari tasveerein jhoothi h.
Juban hote hue bhi ab ham chup h,
Sochate h ki kya ashubh or shubh h,
begunah bhi yun ab sare chup h,
darte h ki kya ashubh or shubh h.
Dil to ab khud hi samajh gya h,
khud ka sahara khud ban gya h,
Ankho ko samjhaya n gya h,
ye to bas ab kathin sa ho gya h.
Koshish har dam muskurane ki h,
darte h ki hamne kya koi galati ki h,
Zamane ko achhai kabhi na dikhi h,
mauka paate hi bas galti dikhi h.
Sach h ki dil darta h,
Sach h ki rona aata h,
Sach h ki fikra apno ki satati h,
Isliye maut bhi gale na lagati h.
©riyanshi