Baiht jaya karti hu kuchh roz
Mai shant meri khidki par
Kuchh yado k kandho par sar tikaye
Kuchh khayalo ko odhe
Kuchh rang jo fisalte ja rhe h
Meri mutthi se
Mai unhe sametana chod deti hu
Ekant me , mai shunya mai daudte aasman ko bas dekhti rehti hu
Ankhe jo aksar thak jaya karti h talash me
Vo apne Pardo ko gira,ab mere andar ki duniya me dhoodhati h
Vo Kuchh lamho se milti h
Aur na jane kitni hi kalpanao se hoti h
Rubaroo
Fir mutthi bhar haskar
sagar sa roti h
Ankhe ek bojh liye,
Thak kar so jati h
Nikalta hai fir man
Usi talash ki zid me
Na jane kitni hi band padi almariya mere dil ki
Vo khol deta h
Yade bikhar jati h
Aur bejaan pade sapne
Jo na jane kabse jeena chod chuke h
Jaha taha pade rehte h
Dil ki Dhadkano me dafn
mere mare hue ehasaso se
Vo mitti hatata chala jata h
Vo dhoondhata chala jata h
Mere dil k zakhmo ko
Vo kuredta chala jata h
Mera man mere zakhmi dil ka
Dushman ban jata h
Goonjati h awaj mujhme
Mere dil ki shiskiyo ki
Kamzor ho tum
maine keh diya tha usse
Ab vo chup rehta h
Ab vo bhi shant rehta h
Sab tham sa ho jata h
Thakkar ruk sa jata h
Aur mai baithi rehti hu
Shant meri khidki par
©ethereal
E