K

SO JAO AAJ ACCHA LAGEGA

Der raat tak kuy jage rehte ho ab yeh bahaana mat dena ki neend nahi aati mujhe pata hai raat bhar kay sochte rehte ho wahi baat na jo kisi se kahi nahi jaati . Raat khud ko aaraam dene ke liya hai unke baare mein sochane ke liya nahi jinhe hone na hone se tumhare farq nahi padta . Jisey jaana tha woh chale gaya rokne ke bawajood bhi ab sirf apne andar kamiya dhundhe se bhi sach mein kuch nahi milta . Jis cheez pe tumhara bad nahi hai uske liya soch kar kyun apna dil bhar lete ho din ki thakaan kambthi kya jo raat ko naa so kar phir apna sar bhaari kar lete ho . Moond lo aankhe , tank gaye hoge Ab saari baatein , khwaab mein hogi saas lo gehri , kho jao khud me neend tumhari aati hi hogi . Kabhi khud ke liya bhi kuch soch liya karo ya raat bas dusro ko hi sochne me ni kaalni ha yet chand lamhe kuch hain jin pe sirf tumhara haq hai kyu ki kal subah toh phir se wahi zindagi sambhaalni hai . Sote kuy nahi ? Raahat nahi chahiye? Ya ab yeh boj rakhna me hi maga aane laga hai , nayi aadat nahi chahiya ? . Galti naa hone par bhai khud ko kaise kos lete ho yaar apne aap ko haara hua mat samjha Karo . Jiske liya jage ho usko parwaah nahi hai tumhari uske message aayega yeh socha bhi mat karo . So jao aaj accha lagega
Kal ki subah bhi haseen hogi
Saans lo gehri , kho jao khud me
Neend tumhari , aati hi hogi
Moond lo aankhe thak gaye hoge
Ab saari baatein ,
khwaab mein hogi ,
saans lo gehri ,
kho jao khud mein ,
neend tumhari ,
Aati hi hogi , ...........
THANK YOU SO MUCH
πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™
Β©kunal mali