I

SOCIAL MEDIA:-

Hai andhera naa aas roshni ki ho rahi hai,
    Ranj-o-gham mein sab hai khushyon ki talash mein,
        Fir rahe hai log aab WhatsApp ki aas mein!
Naa jazbaat jahan samjha kisi ne,
     Aur naa kar saka koi bayan-e-ehsas,
Milte Kahan hai ab log asal mein
    Ye gunn bhi to hai aab social media ke pass.
Gairo ko apna banaya hai,apno ko isne bhulaya hai
     Waqt ke kante ko isne Kuch yunn ghumaya hai.
 Bhale hi Qur'an ki ayato ko isne naa sikhaya hai,
     Par haan, jhute message ko forward Karna isne khub bataya hai.
Yes teacher,kal padha tha maine, shayad Kuch....Bhul gye
    Par puch le koi sawaal iss tarikh mein tumne kya post kiya tha...?
    jawab mano zuban pe hoti hai.
Ye soch  kar ke kaheen bhul naa jaye hum!
    Haan kuch kho raha hai jiska fikr ab na ho raha hai,
Bhul chuke hum apni pehchan iss nakli shakhsiyat ke peeche aur iss baat ka ghamand ab hame ho raha hai.
Duniya ye aage bhi hai social media ke,
     par than se gyee ab hum issmein!
Takleef kahan hoti hai ab hame Kisi ke maut par bhi,
     Dil to Mano kaheen kho sa gya hai,
Gham manane ka haq huwa karta tha ek zamane mein aankho ko,
   Aab to muskurane ka bhi haq emoji ko bass reh gaya hai!!!
Ye social media hi to hai,
   Jo ehsas-o-jazbaat ko dur kaheen dusre duniya mein le Gaya hai,
    aab to Humara sab Kuch ye social media hi reh gaya hai......!

©iram