M

Tere bina main kaise jee paaunga

Tune ek bhi nhi socha, tere bina mai kaise jee paunga.
Apni khushiyan aur padeshaniyan,
bina hichkichaya ab mai kise bata paaunga.
Logon se shikwe aur shikaayaten,
lekar ab kiske pass rote jaaunga.
Har shaam apni din bhar ke kahaniyaan aur kisse,
ab mai kisse baant paaunga.
Apni sharaarten aur galtiyan,
ab mai bekhauf kis se bata paaunga.
Tune ek baar bhi nhi socha tere bina mai kise jee paaunga.
Mere har baat pe rooth jaana aur tera mujhe fauran mana lena.
Mera zidd krna, aur teri mera harr baat maan jaana,
apni baat ab mai kis se manwa paunga.
Mere bina bole, mere dil ka haal samjahne waali,
Tu hi bata apna haal ab me kise smjha paaunga.
Tune ek baar bhi nhi socha, tere bina mai kaise jee paunga.
Meri naraazgi ko ek pal bardaasht na kar paana,
Meri galti pe bhi tera mujhse harr baar maafi maang lena.
Meri aankh me ek aanshu na dekh paana,
Tera mujhe harr baar hasa dena,
Tuhi bata main kaise bhula paaunga.
Itna pyaar aur itna khayaal,
isse kam me ab guzaara main na kr paaunga.
Teri mohabbat pe jo yakeen kiya,
wo ab dubara kisi per na kar paaunga.
Tu kyun chali gaye mujhe chodh kar,
Tujhse naraaz hoon main issi baat per.
Aati kun nhi mujhe manaane ab tu waise hi fauran daur kar.
Kya meri takleef ka ab koi asar nhi hota tere dil per
Tu kun chali gaye saare waadein aur kasme tod kar,
Tune ek baar bhi nhi socha tere bina mai kise jee paaunga.
Tere saath ki aadat ko mai yun chod na paaunga,
Na kisi ko apna paaunga aur na kisi ka ho paaunga,
Tune ek baar bhi nhi socha tere bina mai kise jee paaunga.
Minhaj Nezami
©minhaj3001