Tu pankh to faila hawaayein m bhej dunga
Tu udh to sahi rukawaten m dekh lunga
kyu pareshan h kyu soch rha h itna
kyu karke baitha h man ko matar ke daane jitna
jinhe dekh rha hai aasmaan m udhte unhone bhi to shuruwat kahi na kahi se ki hogi
unke armaano ki aag unko bhi to jalaati hogi
haan sahi h bahuto ko pankh failaana
kisi aur ne sikhaaya hoga
kisi ki udhaano ko sahaara kismat ne dilaaya hoga
lekin har kisi ka aasmaan ek ni hota
bina chot khaye kisi ko manjar naseeb ni hota
tu bhi kr skta h aur kr ke rahega
udhaan hauslo se hoti h suna h maine
kisi ko kehte
tughme hausla h taaqat h junoon h
ye teri ladhai h tu akela hi ladhega.
Mai to bus koshish krne walo ki peeth
thapthapa deta hoon
jahaan bhi h lgta girkar uthpana mushkil wahan sahaara de deta hoon
Tera bhi samay tu khud layega
tu dekhega duniya dekhegi m bhi dekh lunga
Tu pankh to faila hawaayein m bhej dunga
Shubham Saxena
©shubham123
S