D

*WAQT HI TO HAI EK DIN BADAL JAYEGA*

*WAQT HI TO HAI EK DIN BADAL JAYEGA*
waqt hi to hai ek din badal jayega
kabhi ye apno se dur rakhega
kabhi ye spno se dur rakhega
kabhi ye sab kuch hasil karwayega
kabhi yuhi sab achhi bato ko fijul kr jayega
kabhi hasayega to kabhi rulayega
waqt hi to hai ek din badal jayega
kabhi parayo ko apna btayega
kabhi apno ko paraya kr jayega
kabhi khamoshi se sath nibhayega
kabhi shor or tahlka machayega
waqt hi to hai ek din badal jayega
kabhi khud se pyar krna shikhayega
kabhi alfaz or jajbat ka matlab batayega
kabhi dusro ki khushi me khush rahna shikhayega
kabhi dil me chupe raj bahar niklwayega
kabhi anjan dard ko sahna shikhayega
waqt hi to hai ek din badal jayega
kabhi girte ko uthna shikhayega
kabhi ye insan ko sahi raah batayega
kabhi kisi ki pareshaniyo ko thik karayega
kabhi ye risto ki ahmiyat samjayega
waqt kisi ka intjar nhi krta "yakinan"ek din badal hi jayega✍✍✍✍
©sahilmoh