R

Yakeen

Tumko dekh kar yakeen nhi hota, 
itna haseen koi kaise ho sakta hai,
Khuda ne badi fursat se tumhe bnaya hoga, 
khud khuda b yakeen nhi aaya hoga.
Inn kali aankhon mein,
shararat hi shararat hai, 
kitna nasha bhara hai inn mein, 
dekh kar in mein bas kho hi jati huin main. 
Itne gulabi hoonthon mein, 
kya ras bhara hai, 
jinhe dekh kr dil krta hai, 
bas chhuti hi rahun main. 
Tumhare dil ki kya baat karu,
uski dhadkano mein jaan hai meri, 
Tum mujhe mil jayoge,
kabhi socha nhi tha maine. 
Meri jindagi ko mehka diya tumne, 
iss dil ko dhadkana sikha diya tumne, 
mujhe kismat pe yakeen dilaya tumne, 
jeene ko vajah di mujhe tumne. 
©richugarg