Khush ho ke khafa ho,
Bata diya karo
Hum bura nahi manenge,
Sata diya karo.
Naam Zubeda hai,
Toh mehka bhi karo
Chehre pe se shikan ye,
Mita diya karo.
Jazbaat uth te hain agar,
Toh jata diya karo.
Aankhein haseen paayi hain,
Parda hata diya karo.
Haqiqat se vaabasta hain,
Khwaab ab mere
Gar khwaabon mein kho jaaun,
Toh jaga diya karo.
Behadd wafa bhi nahi,
Halki phulki sahi,
Daga diya karo.
Ishq mein,
Ramz waqaf bhi
Laga diya karo.
Khush ho ke khafa ho,
Bata diya karo
Hum bura nahi manenge,
Sata diya karo.
©vaishkavi
V