Ab mere liye na raha koi mera 🥺
Tum thay jab to tha koi mera
Ab mere liye na raha koi mera
Mujh se koson duur chala gaya
Jab bhi kabhi bana koi mera
Puucho kab ziinat maangi maine
Kam-az-kam ho dhabba koi mera
Sirf kuch pal ka saathi bann kar na aaye
Chahiye mujhe sadaa koi mera
Umr ka pehla hissa guzar gaya "Aadil"
Iss umiid mai ki hoga samaa koi mera
A
Ab mere liye na raha koi mera 🥺