M

Chaar log

Paida hote hi jhulas jata h ek ladki ka jivan aag me
Kyunki dimag me yahi hota h ki log kya kahenge.
Ladka paida hua to khandan age badhega
Ladki hui to chaar log kya kahenge...
Khandan badhane wala ladka v kaise badhae khandan jab ladki hi na ho
Ye bat kyin nahi ayi un char logon k dimag me..
Paida hote hi vedvab h
Logon ka kaisa ye swavab h
Ladka rota h chot lagti h to wahi chaar log khte h chup ho ja ladke strong hote h ladke nahi rote
Wahi char log jab ladki roye tab kyun nahi hote
Kyun nahi batate ladki ko ki mat ro tu vi utni hi strong h jitna tera bhai h
Kyun nahi batate us ladki ko ki tu v hamare lie utni hi khusi layi h
Bachpan me hi uska bachpan chin lete ho
Aur badle me char log kya kahenge ka ek tag pakda dete ho
Kitchen set ya gudia dilakar kehte ho ye h tumhara khel
Aur ye b batate ho car bat ya ball se tumhara nahi h koi mel
Bade hote kitchen set ghar ghar ka khel ya ankh micholi ban jata h
Ladke khule maidan me dodte fudakte rehte h to kya ladki ya wo man nahi karta h?
Nahi milti use ijajat khule maidan me khelne ki kyunki long skirt half pant ne badalne ka dar hota h
Aur fir wahi chiz dimag me ata h janghen dikhengi to chaar log kya kahenge
Bat sirf yahin nahi rukti h.. Us ladki ki har khwahis pe pani dal dia jata h.. Tum naach nahi sakti tum khel nahi sakti tum bahar ja nahi sakti dosto k sath ghum nahi sakti... Chaar log kya kahenge ladki mujra karti h ya ladki ka charitra kharab h..
Ladki k nachne se agr wo mujra kehlata h
To ye wo nach ko kala kyun bola jata h
Ladki k ghumne se agr uska charitra kharab hota h
To yahi bat ladko par kyun nahi jata h
Akhir Kon h ye char log kahan h ye char log
In char logo mo bas ungli uthana h
Ladkiyan ladko se kamjor h unhe bas yahi jatana h
Kya in char logon me koi aurat v h samil
Agar han to sayad wahi nahi thi kuch karne K kabil
Isile ye char logon ka tag chipka dil har ladki k jivan me
Aur chin lia uska har sapna bachpan me
©mikii_momo