Kabhi din kabhi raat nazar aate hai,
badle badle se hazur nazar aate hai,
unke irade kya hai khuda hi jane to jane,
hum unhe dekh ke pareshan hi nazar aate hai,
kya kahiye ki lafz nahi milte unke liye,
jo shaks har din naye usole ke sath nazar aate hai,
chodiye hum kyun parwah kare unke liye,
wo to bas apne matlab ke liye nazar aate hai,
shahid bhi hai pareshan ab aapko kya bachaye,
ki yaha bhagwan shaitan sab ek se nazar aate hai
©shahidkhan
S