Kuch din bahut sanjiida thi vo mohabbat mai
Achanak se badlaav la gayi apni aadat mai
Jis ko ham-safar muntakhib kar lete hain
Kya uss ko chood dete hain chaahat mai
Sabr se manzil milna kyun nahi hai mumkin
Utaavli ho gayi kyun doo din ki furqat mai
Hamare dard ka ilaaj ab sirf hain mushkilen
Raahat adna si bhi nahi milti koi raahat mai
Shauq tha na ham ko 'alaihida karne ka tumhe
Jaao tadap tadap ke marti raho furqat mai
Mujhe koi mujh se bacha kar le jaao yaaron
Kab se giraftaar hun khud-pasandi ki vahshat mai
Apni khvaahishon ki raakh pe baith kar aadil
Umiid rakhta hai nayi buniyaad-o-imarat mai