Kafilo ko chalne do ki rukna nahi hai manzil
Gar chand nahi chamakta to shama hi jala do
Nakamiya , majburiya, tanhaiya sab to zindagi ka hissa hai
Jaise khushi aziz hai tumhe waise hi gham ka bhi maza lo
Gar ujad gaya bagh-e-dil to kya hai
Mehboob ki yaad mein ek kyari hi saja do
Yeh katl yeh khoon yeh waishato se bhari duniya
Ab to sharifo ko chodo aur katilo ko saza do
Akele chalte ho par chalte to ho shahid
Wo jo bheed mein khade hai unme se ek ka naam to bata do
©shahidkhan
S