Kon jaane kya hua use,
Na ankhen aati meri taraf na hoth hilte uske
Ek dafa tha , wo wafa tha,
Shayad ab wo khafa tha
Ankho se noor uski taraf hi footti thi,
pane ki khwaish me tare v mere liye tootti thi
Na jane kyu kab kya hua
Par jo ho gya to ab karna kya
Bas thandi aahe lena aur darna kya
Jeekar v ab yun pal pal marna kya
Ab jaakr lafzo ke rehnuma dikhlau
Aur ek aisa namuna kehlau
Ki yaad kare ye jahaan
Keh ki do jahaan ke beech me ye hai kahan
Wo izazat de ya use na gawara reh
Ya is bande ko awara keh
To yahi sahi
Ab aage kuch nahi
Falak se aage jaunga
Ab wahi ashiyan banaunga...
©shadanzeya
S