M

Naya Saal

Naya saala jab ye aaya to !
Socha tumhe tumse chura lun!!
Jod jod ke yaaden or sapne!
Ek Chota Sa gharonda bana lun!!
Bana is hirday ko mandir me!
Dil ka tumhe devta bana lun!!
Par marusthal ki garam rett par!
Phool nahi khila kartey hai!!
Lakh kar lo tum jatan Fir bhi!
Chand or dhara nahi mila kartey hai!!
Jaan samjh kar ye sab baaten!
Socha Dil ko kuchh Yun samjha lun!!
Tum nahi pass to kya yaadon par to bas mera hakk hai!!
Beet gaye kitne saal jaise !!
Nikal jayega ye saala bhi kya shak hai!
Tum bas apna jahan basa lo!!
Yaad rakho mujhe ya bhula do!
Tum khushiyo SE use saja lo!!
Gum ho Jo bhi Hume louta do!!
Muskaan SE apni o meri priyatam!!
Dono jahan ko ek bana do!
Naya saal Jo ye aaya to!
Khushiyan me sari tujpe luta du!!
Pee kar har Ansu Teri ankho SE!
Ek badi si muskan louta dun!!
Ho kar fana Fir Teri chahta me!
Zindgi ko apni mita du !!
Ho kar madhos tere khayalo me!
Mirtyu ko Fir gale laga lun!!
Naya saal Jo ye aaya to!
Khud ko ab me mitta lun!
Tujhe na sahi par ab me!!
Khayalo ko tere apna bana lun!!
©mukhar