ππππ πππ πππ ππ πππππππ ππππ ππππ π
Apne ap ko sambhaala nahi jata
Usse iss dil se nikaala nahi jata
Vo ho chuka hai mera mahmaan
Mezbaani ka farz taala nahi jata
Hota hai amanat ehtiraam kiya kijiye
Kisi ke dil ko yuun uchhaala nahi jata
Pahaunch chuka hun mai unn andheron mai
Jahaan hargiz kisi ka ujaala nahi jata
Hota rasta agar zindagi se bahar nikalne ka
Kya mai tujh se duur chala nahi jata
Tumhe to khair de deta hai fursat
Par mere andar se mere vaala nahi jata
Ab bas kiya bahut ho gaya "Aadil"
Tere kaandhon pe aur boj daala nahi jata
A
ππππ πππ πππ ππ πππππππ ππππ ππππ π